Tuesday, 21 January 2014

Meri Awaaz Ko Milegi, Ek Din Roshni

Kahin hun main ye jaanta, dil pehchanta
Sajenge raaste, ik din mere vaaste
Meri chahaten, paa lengi apni apni manzilen
Meri awaaz ko milegi, ek din roshni

Jashn si jeet main, geet ki preet main
Barsenge kusum ban, mehkenge murjhaye man
Meri abhilashaen, phirse taraane gaayen
Meri awaaz ko milegi, ek din roshni

Timir ghabrayega, prakash chha jayega
Tadap bhool jayega, sukh itna aayega
Meri ichhaen, yun muskurayen
Meri awaaz ko milegi, ek din roshni

Jalenge bhasm hoke dukh, mehkenge sukh
Zameen banegi aasmaan, badhega maan sammaan
Meri kaamnaen, puri hoti jaayen
Meri awaaz ko milegi, ek din roshni...

ye kaisa insaaf hai?

Inspired from "ye kya jagah hai doston" from the old movie Umrao Jaan

Ye kya hua hai doston, ye kaisa insaaf hai?
hadd-e-jaan tak, sirf tanhai payi hai, sirf ruswai chhai hai

Tamaam umra palkon pe,
bitha kar jisko rakha..bitha kar jisko rakha
ab wahi shakhsiyat
ajnabi ban farar hai
ye kya hua hai doston, ye kaisa insaaf hai?

Ye kis baat ki saza
di hai tune ae-khuda,di hai tune ae-khuda
charo taraf akelapan,
bekarari savaar hai
ye kya hua hai doston, ye kaisa insaaf hai?

Jis kisi ke, zakhmon par
marhamen rakhi humne, marhamen di thi humne
ab bane quatil bhi hai
bewafai si paayi hai
ye kya hua hai doston, ye kaisa insaaf hai?

Chaha tha kya, kya hua..
kaise batlaun tumhe..kaise batlaun tumhe
e-khuda mere kahin tu
khud se hi sharmsaar hai?
ye kya hua hai doston, ye kaisa insaaf hai?

Na jaane kyun...

Wahi hai dagar, chalna hai par, aaj bhi
rakhna magar sabar, mann hai besabar
darta hai dil, na jaane kyun, ye anjaan dagar
chale bina mere, pairon main,
chubhte hain, kaante kyun magar...

na jaane kyun...hota hai ye zindagi ke saath
achanak ye mann, kisi ke jaane ke baad
kare phir uski yaad, choti choti si baat

Wo pehchan ab, badli hai jab, hai nayi
aks wahi sahi, shaqs wahi nahi
badal ke bhi, badla nahi, hain hairan sab
khoke bhi mere, is mann main
darr hai kyun, main hun bekhabar...