Saanson ka yeh kaarwan
Tham jaaye naa kahin
Jis bhi dagar tu chale
Saaya banun wahin
Raahon me fir chalte hue
ye baat ho na ho
Shayad fir is janam main
Mulaqat ho na ho...
Yunhi kabhi mil jayen hum
Banke ajnabi
Yaaden fir jag jayengi
Mile the hum bhi kabhi
Aage kabhi, aaj se,
haalaat ho na ho
Shayad fir is janam me
Mulaqat ho na ho...
Adhuri rahe ye daastan
Zaruri hai ab yahi
Alag hon, Shayad hai ye sahi
Dil se kabhi, tere juda,
meri yaad ho na ho
Shayad fir is janam me
Mulakaat ho na ho...
No comments:
Post a Comment